"Slumdog Millionaire" naam se dukh
by Shant Prakash on Jan 19 2009 10:28PM (IST)
Slumdog Millionaire naam se dukh
aaj ke dor main gareeb samaj alag-alag naaam se
jaana jata hai. kisliye sirf gareeb ka roj
naya namkaran hota hai. kabhi girijan, harijan,
chamar, bhangi, dalit, upekchit samaj,
vachit samaj, achoot. kab tak ijjat utarawa kar
amir ka manoranjan karta rahega yeh
samaj aaj rajnitkon ki pehli pasand hai yeh
samaj, filmkaron ke liye hai yeh ek akarshak
mudha. Kiyonki aise naam rakhne se koi inke
khilaaf court jayega aur inko aram se
popularity mill jayegi aisi gandi soch ko badawa
hamara sensor board bhi de raha hai. Is
film ko approval dene ka matlab hai ki is board
ki atma mar chuki hai aur is board main
koi bhi is samaj ki chinta karne wala nahi hai.
Aur is sab ke peeche kaaran hai sarkar ki
laparvahi aur andekhi. Aisi dasha main ek bar fir
bhagwan hi bhala kare jo kabhi nahi
karta par umeed hai.
Jai bhim jai bharat bharat mata ki jai.
Shant Prakash(JATAV) 279,Gyan Khand-1 Indira Puram, Ghaziabad-201012,Uttar Pradesh INDIA Mobile-09871952799
Reply |
Report Abuse
|