|
Mann jaage saari raat, mera dewaana Mann maane na yeh baat, ke woh tha begaana Mann jaage saari raat, mera dewaana Mann maane na yeh baat, ke woh tha begaana Hai khud se hi, khafa khafa Kya chahiye, nahi pata, banwara
Paaya woh na chaaha, chaaha woh na paaya Jiske peeche bhaage, woh saaya hai re saaya Kya kya raste dhoondhe, kya kya dukh na paaya Par saaya tehra saaya, ke haathon mein na aaya
Koi subaah, jo main uthoon Tujhe agar, mile sukoon, banwara
Ginta rehta taare, lotoon main angaare Khud se ladta phirta, yeh jag ko thokar maare Kheenche kheenche baithe, baithe baithe bhaage Na sunta khudke aage, yeh pagal ho gaya re Paaya woh na chaaha, chaaha woh na paaya Jiske peeche bhaage, woh saaya hai re saaya Kya kya raste dhoondhe, kya kya dukh na paaya Par saaya tehra saaya, ke haathon mein na aaya
Hai zindagi muhaal kyun Bana liya yeh haal kyun bata Uljha uljha rehta na sunta na kuch kehta Sooni sooni aankhon se, reh-reh paani behta Toote saare naate, haara main samjhate Bichde din aur saathi, phir wapas nahi aate
Wapas nahi aate, wapas nahi aate
Yeh dard kyun, yeh pyaas kyun Phira kare, udaas kyun Yeh rald kyun, talaash kyun bata, banwara
Thandi aahein bharke, jeeta hai mar-mar ke Kaisa reh gaya hai, yeh dariya se guzar ke Dhoke se nazar ke, jhokein se umar ke Raet ke mahal sa, deh gaya hai bikhar ke Thandi aahein bharke, jeeta hai mar-mar ke Kaisa reh gaya hai, yeh dariya se guzar ke Dhoke se nazar ke, jhokein se umar ke Raet ke mahal sa, deh gaya hai bikhar ke
Aaa... Mann jaage, jaage re Mann jaage Jaage jaage jaage, banwara
|