Jab tak hum kisi ke humdard nahi bante … tab tak hum dard se aur dard humse juda nahi hota
Nafrat ko nafrat nahi, sirf pyar mitta sakta hai … bas zaroorat hai kisi ke haath ki … joh kheench kar usse andheron mein se ujalon mein la sake
Main tujhe marne nahi doonga … lekin main tujhe roz maaroonga … ek baar nahi hazar baar maaroonga
Muskurane mein na koi tax nahi lagtar
Tum sabki nikalti jaan ke saath … meri har chinta, sari stress bhi nikal jaati hai
Zindagi mein ek hassi woh hoti hai joh insaan apne gham ko chupane ke liye khud seekhta hai … aur ek hassi woh hoti hai joh insaan ke saare gham bhula deti hai
Andhere ko andhera nahi … sirf roshni mitta sakti hai
Tere jism se behte khoon ke har ek katre ka hisaab rakhoonga main … teri aakhri saans ko bhi mutthi mein bandh rakhoonga main … tujhe itna maroonga ki dard jeete ji tere jism ko bhi hoga … aur cheenk marne ke baad tere rooh se bhi niklegi
Gunahgar hamesha wahi lautta hai jahan usne gunah kiya hai … aur aashiq hamesha wahi lautta hai jahan usne aashiqui ki hai
Kehte hain maut bin bulaye aa jaati hai … lekin main maut ke samne roz khada ho jaata hoon … begani shaadi mein Abdullah deewana bankar
Shaitan ki ek khasiyat hai … apne hi janaze mein shamil hona uski fitrat hai … nafrat uska hathyar, gussa uska barood … humdardi usse aati nahi aur pyar koi usse karta nahi
Har love story mein ek hero hota hai, ek heroine aur ek villain
Jab tera dard kam ho jayega … jab tera har zakhm bhar jayega … main phir aaonga tujhe naye zakhm dene … aaj se yahi hai tera muqaddar, yahi hai teri sazaa
Main jaanti hoon tum doli sajake rakhne waalon mein se nahi ho … goli chalake thokne waalon mein se ho
Is andhere ko roshni koi diya nahi … sirf teri chitta ki aag de sakti hai
Tu jitna marne ke liye marega … utni hi tujhe zindagi milegi
Zyadatar insaan pehda hota aam hai, jeeta aam hai, marta aam hai … bade parde pe ya duniya mein na sahi … kam se kam usse apne ghar pe, apne apno ke nazaron mein toh hero hona chahiye
Aaj ke baad aapko shikayat ka mauka nahi milega
Hum middle class log hai … upper class aur lower class ke beech mein sandwich bane huye hai
Tum sabke dard mein mujhe khushi nahi milti … sukoon milta hai
He is two rupees people