Song lyrics : Deewane

Singer : Kumar Sanu, Udit Narayan & Alka Yagnik
Music Director : Sanjiv Darshan
Writer : Sameer

Kitni mohabbat kisko kaun yaha karta hai
Yeh koi bhi naa jaane
Deewane, pyaar ke hain hum deewane
Deewane, pyaar ke hain hum deewane
Na maane, pyaar ke bin dil naa maane

Duniya mein kya hain, dhoka hi dhoka
Mujhko to bas hain tujhpe bharosa
Zulfon ke saaye, resham si baahen
Tere liye hain, meri vafaayen
Shamma hain deewani, voh naa kabhi samjhegi
Kyoon jhalte hain parwaane
Deewane, pyaar ke hain hum deewane
Na maane, pyaar ke bin dil naa maane

Aaya hain mausam dil ki lagi ka
Aalam naa poocho deewangi ka
Naa hosh hain naa mujhko khabar hain
Yeh sab teri chaahat ka asar hain
Sard hawaa ke jhoken dekho is rut mein bhi
Mujhe aaye hain jhalaane
Deewane, pyar ke hain hum deewane
Na maane, pyaar ke bin dil naa maane

Kitni mohabbat kisko kaun yaha karta hain
Yeh koi bhi naa jaane
Deewane, pyaar ke hain hum deewane
Deewane, pyaar ke hain hum deewane