Song lyrics : Dil Ye Bekarar Kyun Hai

Singer : Mohit Chauhan & Shreya Ghoshal
Music Director : Pritam Chakraborty
Writer : Ashish Pandit

Yeah yeah...

Kyun raaton ko main ab chayn se so na sakoon
Oo...
Kyun aata nahin mujhe din mein bhi chain-o-sukoon
Oo kyun aisa hota hai main khud se hi baatein karoon
Oo kyun tu jo bole koi sune na woh main hi sunu
Dil ye bekarar kyun hai
Iss pe dhun sawaar kyun hai
Kyun hai ye khumaar kyun hai, tu bataa

Tera intezar kyun hai, tujhpe aitbaar kyun hai
Kyun hai ye khumar kyun hai, tu bataa
Tu bataa, tu bataa

Kyun tujhe dekhe bina aata nahin dil ko sabar
Oo kyun tere chehre se hatt ti nahin yeh nazar
Oo kyun tujhe paake mujhe rehta hai khone ka darr
Oo kyun tere siva saari duniya se hoon main bekhabar

Dil ye bekarar kyun hai
Iss pe dhun sawaar kyun hai
Kyun hai ye khumaar kyun hai, tu bataa
Tera intezar kyun hai, tujhpe aitbaar kyun hai
Kyun hai ye khumar kyun hai, tu bataa
Tu bataa, tu bataa

Ye pyaar hai jo tujhe ho gaya hai
Naa jaane kyun tu iss se tha bekhabar
Jo aaj kal yeh tujhe ho raha hai
Nahin aur kuch, pyaar ka hai asar

Kyun tere jalwo ka chatt ta nahin hai dhuaan
Oo kyun chale hawa toh lage ki jaise tune chhuaa
Oo kyun maangta hai dil tere liye roz duaa
Oo kyun ho raha jo pehle mujhe naa hua

Dil ye bekarar kyun hai
Iss pe dhun sawaar kyun hai
Kyun hai ye khumaar kyun hai, tu bataa
Tera intezar kyun hai, tujhpe aitbaar kyun hai
Kyun hai ye khumar kyun hai, tu bataa
Tu bataa, tu bataa